Nazeer Akbarabadi

kar lete alag hum to dil is shoKH se kab ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kar lete alag ham to dil is shoḳh se kab kā
gar aur bhī hotā koī is taur kī chhab kā
bosa kī evaz hote haiñ dushnām se masrūr
itnā to karam ham pe bhī hai yaar ke lab kā
us kaan ke jhumke kī laTak dekh lī shāyad
har ḳhosha isī taak meñ rahtā hai enab kā
dekhā jo baḌī der talak us ne muñh apnā
le dast-e-hinā-basta meñ ā.īna halab kā
jab ham ne kahā rakhiye ab ā.īna ko ye to
hissa hai kisī aur bhī dīdār-talab kā
ye sun ke udhar us ne kiyā ġhusse meñ muñh surḳh
bhabkā idhar ā.īna bhī ham-sar ho ġhazab kā
tum rabt ke Dhab jis se laḌāte ho 'nazīr' aah
vo dilbar-e-ayyār hai kuchh aur hī Dhab kā
Top Urdushayar.com