Nazeer Akbarabadi

hai ab to ye dhun us se main aankh laDa lunga

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

hai ab to ye dhun us se maiñ aañkh laḌā lūñgā

aur chuum ke muñh us siine se lagā lūñgā

gar tiir lagāvegā paiham vo nigah ke to

maiñ us jarāhat ko hañs hañs ke uThā lūñgā

dil jaate udhar dekhā jab maiñ ne 'nazīr' us ko

rokā are vo tujh ko legā to maiñ kyā lūñgā

vaañ abrū-o-mizhgāñ ke haiñ teġh-o-sināñ chalte

Tuk soch to maiñ tujh ko kis kis se bachā lūñgā

paḌ jāvegī jab shah vo ai dil to bhalā phir maiñ

kyā aap ko thāmūñgā kyā tujh ko sañbhālūñgā

Top Urdushayar.com