sitam-ījād  rahoge  sitam-ījād  rahe
is  meñ  ab  shaad  rahe  yā  koī  nāshād  rahe
aap  ne  ahd  kiyā  hai  mirī  ġham-ḳhvārī  kā
ab  ijāzat  ho  to  ye  ahd  mujhe  yaad  rahe
gar  mirī  tauba  ko  maqbūl  shikast-e-tauba
merī  tadbīr  meñ  taqdīr  kī  uftād  rahe
qaid-e-hastī  se  bahut  tum  ne  kiye  haiñ  āzād
koī  is  qaid-e-mohabbat  kī  bhī  mī.ād  rahe
vo  ḳhudā.ī  ho  to  ho  shān-e-tajallī  to  nahīñ
jis  tajallī  meñ  nigāhoñ  ko  ḳhudā  yaad  rahe
zulm  hai  tujh  se  ba-taqrīb-e-takalluf  mansūb
varna  taqdīr-e-vafā  ye  hai  ki  barbād  rahe
dil-e-ābād  kā  'fānī'  koī  mafhūm  nahīñ
haañ  magar  jis  meñ  koī  hasrat-e-barbād  rahe