Nazeer Akbarabadi

kaha jo humne haMein dar se kyun uThate ho

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kahā jo ham ne ''hameñ dar se kyuuñ uThāte ho''
kahā ki ''is liye tum yaañ jo ġhul machāte ho''
kahā ''laḌāte ho kyuuñ ham se ġhair ko hamdam''
kahā ki ''tum bhī to ham se nigah laḌāte ho''
kahā jo hāl-e-dil apnā to us ne hañs hañs kar
kahā ''ġhalat hai ye bāteñ jo tum banāte ho''
kahā ''jatāte ho kyuuñ ham se roz nāz-o-adā''
kahā ki ''tum bhī to chāhat hameñ jatāte ho''
kahā ki ''arz kareñ ham pe jo guzartā hai?''
kahā ''ḳhabar hai hameñ kyuuñ zabāñ pe laate ho''
kahā ki ''rūThe ho kyuuñ ham se kyā sabab is kaa''
kahā ''sabab hai yahī tum jo dil chhupāte ho''
kahā ki ''ham nahīñ aane ke yāñ'' to us ne 'nazīr'
kahā ki ''socho to kyā aap se tum aate ho''
Top Urdushayar.com