jab  maiñ  sunā  ki  yaar  kā  dil  mujh  se  haT  gayā
sunte  hī  is  ke  merā  kaleja  ulaT  gayā
farhād  thā  to  shīrīñ  ke  ġham  meñ  muā  ġharīb
lailā  ke  ġham  meñ  aan  ke  majnūñ  bhī  laT  gayā
maiñ  ishq  kā  jalā  huuñ  mirā  kuchh  nahīñ  ilaaj
vo  peḌ  kyā  harā  ho  jo  jaḌ  se  ukhaT  gayā
itnā  koī  kahe  ki  divāne  paḌā  hai  kyā
jā  dekh  abhī  udhar  koī  pariyoñ  kā  ġhaT  gayā
chhīnā  thā  dil  ko  chashm  ne  lekin  maiñ  kyā  karūñ
uupar  hī  uupar  us  saf-e-mizhgāñ  meñ  paT  gayā
kyā  kheltā  hai  naT  kī  kalā  āñkhoñ  āñkhoñ  meñ
dil  saaf  le  liyā  hai  jo  pūchhā  to  naT  gayā
āñkhoñ  meñ  merī  sub.h-e-qayāmat  ga.ī  jhamak
siine  se  us  parī  ke  jo  parda  ulaT  gayā
sun  kar  lagī  ye  kahne  vo  ayyār-e-nāznīñ
''kyā  boleñ  chal  hamārā  to  dil  tujh  se  phaT  gayā''
jab  maiñ  ne  us  sanam  se  kahā  kyā  sabab  hai  jaan
iḳhlās  ham  se  kam  huā  aur  pyaar  ghaT  gayā
aisī  vo  bhārī  mujh  se  huī  kaun  sī  ḳhatā
jis  se  ye  dil  udaas  huā  jī  uchaT  gayā
āñkheñ  tumhārī  kyā  phirīñ  us  vaqt  ''merī  jān''
sach  pūchhiye  to  mujh  se  zamāna  ulaT  gayā
ushshāq  jāñ-nisāroñ  meñ  maiñ  to  imaam  huuñ
ye  kah  ke  maiñ  jo  us  ke  gale  se  lipaT  gayā
kitnā  hī  us  ne  tan  ko  chhuḌāyā  jhiḌak  jhiḌak
par  maiñ  bhī  qaiñchī  bāñdh  ke  aisā  chimaT  gayā
ye  kashmakash  huī  ki  garebāñ  mirā  udhar
TukḌe  huā  aur  us  kā  dupaTTa  bhī  phaT  gayā
āḳhir  isī  bahāne  milā  yaar  se  'nazīr'
kapḌe  balā  se  phaT  ga.e  saudā  to  paT  gayā