ḳhushī  se  ranj  kā  badlā  yahāñ  nahīñ  miltā
vo  mil  ga.e  to  mujhe  āsmāñ  nahīñ  miltā
hazār  DhūñDiye  us  kā  nishāñ  nahīñ  miltā
jabīñ  mile  to  mile  āstāñ  nahīñ  miltā
majāz  aur  haqīqat  kuchh  aur  hai  yaanī
tirī  nigāh  se  terā  bayāñ  nahīñ  miltā
bhaḌak  ke  shola-e-gul  tū  hī  ab  lagā  de  aag
ki  bijliyoñ  ko  mirā  āshiyāñ  nahīñ  miltā
tirī  talāsh  kāfi-ul-jumla  mā-hasal  ye  hai
ki  tū  yahāñ  nahīñ  miltā  vahāñ  nahīñ  miltā
batā  ab  ai  jaras-e-daur  maiñ  kidhar  jā.ūñ
nishān-e-gard-e-rah-e-kārvāñ  nahīñ  miltā
mujhe  bulā  ke  yahāñ  aap  chhup  gayā  koī
vo  mehmāñ  huuñ  jise  mezbāñ  nahīñ  miltā
tujhe  ḳhabar  hai  tire  tīr-e-be-panāh  kī  ḳhair
bahut  dinoñ  se  dil-e-nā-tavāñ  nahīñ  miltā
kisī  ne  tujh  ko  na  jaanā  magar  ye  kam  jaanā
ye  raaz  hai  ki  koī  rāz-dāñ  nahīñ  miltā
mujhe  aziiz  sahī  qadr-e-dil  tumheñ  kyuuñ  ho
kamī  to  dil  kī  nahīñ  dil  kahāñ  nahīñ  miltā
dayār-e-umr  meñ  ab  qahat-e-mehr  hai  'fānī'
koī  ajal  ke  sivā  mehrbāñ  nahīñ  miltā