Nazeer Akbarabadi

kal uske chehre ko humne jo aaftab likha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

kal us ke chehre ko ham ne jo āftāb likhā

to us ne paḌh ke vo naama bahut itaab likhā

jabīñ ko mah jo likhā to kahā ho chīñ-ba-jabīñ

ye kaisī us samajh thī jo māhtāb likhā

chamakte dāñtoñ ko gauhar likhā to hañs ke kahā

sitāre uḌ ga.e the jo dur-e-ḳhush-āb likhā

likhā jo mushk-e-ḳhatā zulf ko to bal khā kar

kahā ḳhatā jo ye harf-e-nā-savāb likhā

gulāb araq ko likhā to ye bolā naak chaḌhā

use na itr mayassar thā jo gulāb likhā

jigar kabāb likhā apnā to kahā jal kar

bhalā kyā maiñ sharābī thā jo kabāb likhā

hisāb-e-shauq daftar likhā to jhuñjhlā kar

kahā maiñ kyā mutasaddi thā jo hisāb likhā

jo be-hisāb likhā ishtiyāq-e-dil to kahā

vo kis hisāb meñ hai ye bhī be-hisāb likhā

hue jo radd-o-badal aise kitne baar nazīr

to us ne ḳhat hamāre na phir javāb likhā

Top Urdushayar.com