le  ke  dil  mehr  se  phir  rasm-e-jafā-kārī  kyā
tum  dil-ārām  ho  karte  ho  dil-āzārī  kyā
tum  se  jo  ho  so  karo  ham  nahīñ  hone  ke  ḳhafā
kuchh  hameñ  aur  se  karnī  hai  na.ī  yaarī  kyā
juuñ  hubāb  aa.e  haiñ  milne  ko  na  ho  chīñ-ba-jabīñ
ham  se  ik  dam  ke  liye  karte  ho  be-zārī  kyā
teġh-e-abrū  kī  to  ulfat  ne  kiyā  dil  ko  do-nīm
dekheñ  ab  kartī  hai  kākul  kī  giraftārī  kyā
phir  sināñ  mizzha-e-dil  par  vo  uThātā  hai  'nazīr'
zaḳhm-e-shamshīr-e-nigah  aah  nahīñ  kaarī  kyā