kyā  kāsa-e-mai  lījiye  is  bazm  meñ  ai  ham-nashīñ
daur-e-falak  se  kyā  ḳhabar  pahuñchegā  lab  tak  yā  nahīñ
ye  kāsa-e-fīrozgūñ  hai  shīsha-bāz-e-pur-funūñ
jitne  hiyal  haiñ  aur  fusūñ  sab  us  ke  haiñ  zer-e-nagīñ
ho  e'timād  us  kā  kise  hai  shīsha-bāzī  yaad  use
rakhtā  hai  shaad  ik  dam  jise  kartā  hai  phir  andohgīñ
kal  dāman-e-sahrā  meñ  ham  guzre  jo  vaqt-e-sub.h-dam
ik  kāsa-e-sar  par  alam  aayā  nazar  apne  vahīñ
bolā  ba-fariyād-o-fuġhāñ  kyā  dekhtā  hai  o  miyāñ
the  ham  bhī  sar-bar-āsmāñ  go  ab  to  haiñ  zer-e-zamīñ
gul-barg  se  nāzuk-badan  sar  paañv  se  rashk-e-chaman
zarrīñ  o  sīmīñ  pairahan  dilkash  makānoñ  ke  makīñ
din  raat  naaz  o  nemateñ  mah-tal.atoñ  kī  sohbateñ
aish-o-nashāt-o-ishrateñ  saaqī  qirāñ  mutrib  qarīñ
bāġh-o-chaman  pesh-e-nazar  bazm-e-tarab  shām-o-sahar
har-sū  ba-kasrat  jalva-gar  husn-e-butān-e-nāznīñ
ek  āsmāñ  ke  daur  se  ik  gardish-e-fil-faur  se
ab  sochiyegā  ġhaur  se  dar-lahza-āñ  dar-lahza-īñ
sunte  hī  jī  tharrā  gayā  ruḳhsār  par  ashk  aa  gayā
dil  ibratoñ  se  chhā  gayā  ḳhātir  huī  bas  sahmagīñ
us  meñ  sar  apnā  nā-gahāñ  har  mū  huā  misl-e-zabāñ
bolā  'nazīr'  aagah  ho  haañ  man-nīz-roze  ham-chunīñ