jazb-e-dil  jab  ba-rū-e-kār  aayā
har  nafas  se  payām-e-yār  aayā
maut  kā  intizār  thā  aa.ī
jā.iye  ab  mujhe  qarār  aayā
jab  kisī  ne  liyā  tumhārā  naam
girya  be-qasd-o-iḳhtiyār  aayā
be-qarārī  meñ  ab  ye  hosh  nahīñ
kis  ke  dar  par  tujhe  pukār  aayā
farsh-e-gul  phir  bichhā  rahī  hai  nasīm
aa.iye  mausam-e-bahār  aayā
aaj  ham  pī  sake  na  vo  aañsū
un  ke  aage  jo  baar  baar  aayā
ḳhair  to  hai  ki  aap  ke  dar  se
aaj  'fānī'  ummīd-vār  aayā