Nazeer Akbarabadi

jahan hai qad us ka jalwa-farma to sarw wan kis hisab mein hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jahāñ hai qad us kā jalva-farmā to sarv vaañ kis hisāb meñ hai
vo qāmat aisā hai kuchh qayāmat qayāmat us kī rikāb meñ hai
ye sab ġhalat hai jo yuuñ haiñ kahte ki us kā mukhḌā naqāb meñ hai
naqāb kyā hai vo sharmgīñ to naqāb se bhī hijāb meñ hai
vo gorā pinDā aur us meñ surḳhī magar ḳhudā ne le sar se tā-pā
kiyā hai maidā to motiyoñ kā aur us ko gūñdhā shahāb meñ hai
jhapak jo mukhḌe kī dekhī us ke to ham ne apne ye dil meñ jaanā
unhī ke partav se mah hai raushan usī kā nuur āftāb meñ hai
rahegā mahbūb jis makāñ meñ to vaañ hī dekheñge us ko jā kar
ġharaz vo jis kā ki naam dil hai ye dhun us ālī-janāb meñ hai
jo ġhussa ho kar vo deve gaalī to us adā se ki ham to kyā haiñ
farishte ġhash ho ke lauT jāveñ ye lutf us ke itaab meñ hai
bañdhā hai jab se ḳhayāl us kā ajab tarah kī lagan lagī hai
kabhī vo dil meñ kabhī vo jī meñ kabhī vo chashm-e-pur-āb meñ hai
vahī udhar hai vahī idhar hai vahī zabāñ par vahī nazar meñ
jo jāgtā huuñ to dhyān meñ hai jo so gayā huuñ to ḳhvāb meñ hai
'nazīr' sīkhe se ilm rasmī bashar kī hotī haiñ chaar āñkheñ
paḌhe se jis ke hoñ laakh āñkheñ vo ilm dil kī kitāb meñ hai
Top Urdushayar.com