Nazeer Akbarabadi

ye gila dil se to hargiz nahin jaana sahab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ye gila dil se to hargiz nahīñ jaanā sāhab
sab ne jaanā hameñ par tum ne na jaanā sāhab
in bayānoñ se ġharaz ham ne ye jaanā sāhab
aap ko ḳhuun hamārā hai bahānā sāhab
chhoḌ kar aap ke kūche ko phirūñ sahrā meñ
so to majnūñ sā nahīñ huuñ maiñ divānā sāhab
yaad the ham ko javānī meñ to sau makr-o-fareb
ik karishma thā tumheñ daam meñ laanā sāhab
ab jo būḌhe haiñ to ab bhī hameñ shaitān 'nazīr'
hañs ke kahtā hai ajī aa.iye nānā-sāhib
Top Urdushayar.com