altāf  bayāñ  hoñ  kab  ham  se  ai  jaan  tumhārī  sūrat  ke
haiñ  lākhoñ  apnī  āñkhoñ  par  ehsān  tumhārī  sūrat  ke
muñh  dekhe  ki  ye  baat  nahīñ  sach  pūchho  to  ab  duniyā  meñ
behosh  kare  haiñ  pariyoñ  ko  insān  tumhārī  sūrat  ke
ā.īna-ruḳhoñ  kī  mahfil  meñ  jis  vaqt  ayaañ  tum  hote  ho
sab  aa.ina  saañ  rah  jaate  haiñ  hairān  tumhārī  sūrat  ke
kuchh  kahne  par  mauqūf  nahīñ  ma.alūm  abhī  ho  jāvegā
ḳhurshīd  muqābil  ho  dekhe  ik  aan  tumhārī  sūrat  ke
ki  arz  'nazīr'  ik  bose  kī  jab  hañs  kar  chanchal  bolā  yuuñ
is  muñh  se  bosa  lījiyegā  qurbān  tumhārī  sūrat  ke