le  e'tibār-e-vāda-e-fardā  nahīñ  rahā
ab  ye  bhī  zindagī  kā  sahārā  nahīñ  rahā
tum  mujh  se  kyā  phire  ki  qayāmat  sī  aa  ga.ī
ye  kyā  huā  ki  koī  kisī  kā  nahīñ  rahā
kyā  kyā  gile  na  the  ki  idhar  dekhte  nahīñ
dekhā  to  koī  dekhne  vaalā  nahīñ  rahā
aaheñ  hujūm-e-yās  meñ  kuchh  aisī  kho  ga.iiñ
dil  āshnā-e-dard  hī  goyā  nahīñ  rahā
allāh  re  chashm-e-hosh  kī  kasrat-parastiyāñ
zarre  hī  rah  ga.e  koī  sahrā  nahīñ  rahā
de  un  pe  jaan  jis  ko  ġharaz  ho  ki  dil  ke  baad
un  kī  nigāh  kā  vo  taqāzā  nahīñ  rahā
tum  do-ghaḌī  ko  aa.e  na  bīmār  ke  qarīb
bīmār  do-ghaḌī  ko  bhī  achchhā  nahīñ  rahā
'fānī'  bas  ab  ḳhudā  ke  liye  zikr-e-dil  na  chheḌ
jaane  bhī  de  balā  se  rahā  yā  nahīñ  rahā