Nazeer Akbarabadi

chitwan ki kahun ki ishaaraat ki garmi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
chitvan kī kahūñ ki ishārāt kī garmī
hai nām-e-ḳhudā us meñ har ek baat kī garmī
rone se mire us ko araq aa gayā yaaro
sach hai ki burī hotī hai barsāt kī garmī
Tuk phuul chhuā thā so nazākat se ka.ī baar
rah rah ke dikhā.ī mujhe gul-hāt kī garmī
khulvāte hī bundoñ ke badan garm ho aayā
shāyad ki lagī us ko mire haat kī garmī
jaltā huuñ maiñ aur sho.ale nahīñ dete dikhā.ī
hai ishq meñ yaaro ye tilismāt kī garmī
rahnā hai koī din to samajh jā.iyo ai dil
yaañ phir vahī Thahrī hai mulāqāt kī garmī
garmī thī kahīñ aah ham afsurda-diloñ meñ
saaqī kī faqat hai ye ināyāt kī garmī
aate hī jo tum mere gale lag ga.e vallāh
us vaqt to is garmī ne sab maat kī garmī
kahtā hai vo jis dam ki chalo ham se na bolo
is baat meñ hai aur hī ek baat kī garmī
sab poch hai zāhir kī ye shoḳhī-o-sharārat
ma.ashūq meñ jab tak ki na ho zaat kī garmī
tum ġhussa ho yā qahr ho ātish ho ġhazab ho
ab ham ne ye sab dil pe musāvāt kī garmī
yā-hazrat-e-dil tum to baḌe sāhib-e-dil the
rakhte the bahut apne kamālāt kī garmī
ek hī nigah-e-garm se bas ho ga.e tum sard
ab kahiye kahāñ hai vo karāmāt kī garmī
yuuñ garmi-e-sohbat to bahut hogī 'nazīr' aah
par yaar na bhūlegī mujhe raat kī garmī
Top Urdushayar.com