Nazeer Akbarabadi

uske sharar-e-husn ne shoala jo ek dikha diya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
us ke sharār-e-husn ne sho.ala jo ik dikhā diyā
tuur ko sar se paañv tak phūñk diyā jalā diyā
phir ke nigāh chaar sū Thahrī usī ke rū-ba-rū
us ne to merī chashm ko qibla-numā banā diyā
merā aur us kā iḳhtilāt ho gayā misl-e-abr-o-barq
us ne mujhe rulā diyā maiñ ne use hañsā diyā
maiñ huuñ patañg-e-kāġhzī Dor hai us ke haath meñ
chāhā idhar ghaTā diyā chāhā udhar baḌhā diyā
teshe kī kyā majāl thī ye jo tarāshe be sutūñ
thā vo tamām dil kā zor jis ne pahāḌ Dhā diyā
Top Urdushayar.com