us  ke  sharār-e-husn  ne  sho.ala  jo  ik  dikhā  diyā
tuur  ko  sar  se  paañv  tak  phūñk  diyā  jalā  diyā
phir  ke  nigāh  chaar  sū  Thahrī  usī  ke  rū-ba-rū
us  ne  to  merī  chashm  ko  qibla-numā  banā  diyā
merā  aur  us  kā  iḳhtilāt  ho  gayā  misl-e-abr-o-barq
us  ne  mujhe  rulā  diyā  maiñ  ne  use  hañsā  diyā
maiñ  huuñ  patañg-e-kāġhzī  Dor  hai  us  ke  haath  meñ
chāhā  idhar  ghaTā  diyā  chāhā  udhar  baḌhā  diyā
teshe  kī  kyā  majāl  thī  ye  jo  tarāshe  be  sutūñ
thā  vo  tamām  dil  kā  zor  jis  ne  pahāḌ  Dhā  diyā