gar  aish  se  ishrat  meñ  kaTī  raat  to  phir  kyā
aur  ġham  meñ  basar  ho  ga.ī  auqāt  to  phir  kyā
jab  aa.ī  ajal  phir  koī  DhūñDā  bhī  na  paayā
qissoñ  meñ  rahe  harf-o-hikāyāt  to  phir  kyā
had  bos-o-kanār  aur  jo  thā  us  ke  sivā  aah
gar  vo  bhī  mayassar  huā  haihāt  to  phir  kyā
do  din  agar  in  āñkhoñ  ne  duniyā  meñ  mirī  jaañ
kī  nāz-o-adāoñ  kī  ishārāt  to  phir  kyā
phir  uḌ  ga.ī  ik  aan  meñ  sab  hashmat  o  sab  shaan
le  sharq  se  tā  ġharb  lagā  haat  to  phir  kyā
asp  o  shutur  o  fiil  o  ḳhar  o  naubat  o  lashkar
gar  qabr  talak  apne  chalā  saat  to  phir  kyā
jab  aa.ī  ajal  phir  vahīñ  uTh  bhāge  shitābī
rindoñ  meñ  hue  ahl-e-ḳharābāt  to  phir  kyā
do  din  ko  jo  ta.avīz  o  fatīla  o  amal  se
tasḳhīr  kiyā  ālam-e-jinnāt  to  phir  kyā
is  umr-e-do-roza  meñ  agar  ho  ke  nujūmī
sab  chhān  liye  arz  o  samāvāt  to  phir  kyā
ik  dam  meñ  havā  ho  ga.e  sab  amalī  o  nazarī
the  yaad  jo  asbāb  o  alāmāt  to  phir  kyā
us  ne  koī  din  baiTh  ke  ārām  se  khāyā
vo  māñgtā  dar  dar  phirā  ḳhairāt  to  phir  kyā
daulat  hī  kā  milnā  hai  baḌī  chiiz  'nazīr'  aah
bil-farz  huī  us  se  mulāqāt  to  phir  kyā
āḳhir  ko  jo  dekhā  to  hue  ḳhaak  kī  Dherī
do  din  kī  huī  kashf-o-karāmāt  to  phir  kyā
jab  aa.ī  ajal  ek  riyāzat  na  ga.ī  pesh
mar  mar  ke  jo  kī  koshish  o  tā.āt  to  phir  kyā
jab  aa.ī  ajal  aah  to  ik  dam  meñ  ga.e  mar
gar  ye  bhī  huī  ham  meñ  karāmāt  to  phir  kyā