Nazeer Akbarabadi

aan rakhta hai ajab yar ka laD kar chalna

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

aan rakhtā hai ajab yaar laḌ kar chalnā

har qadam naaz ke ġhusse meñ akaḌ kar chalnā

jitne ban ban ke nikalte haiñ sanam nām-e-ḳhudā

sab meñ bhātā hai mujhe us bigaḌ kar chalnā

nā-tavānī bhalā ho jo huā mujh ko nasīb

us dīvār īñToñ ko ragaḌ kar chalnā

us kākul hai burī maan kahā ai af.ī

dekhiyo us se kāñdhā na ragaḌ kar chalnā

chalte chalte na ḳhalish kar falak-e-dūñ se 'nazīr'

fā.eda kyā hai kamīne se jhagaḌ kar chalnā

Top Urdushayar.com