ishq  kā  maarā  na  sahrā  hī  meñ  kuchh  chaupaT  paḌā
hai  jahāñ  us  kā  amal  vo  shahr  bhī  hai  paT  paḌā
āshiqoñ  ke  qatl  ko  kyā  tez  hai  abrū  kī  teġh
Tuk  udhar  jumbish  huī  aur  sar  idhar  se  kaT  paḌā
ashk  kī  nok-e-mizha  par  shīsha-bāzī  dekhiye
kyā  kalā.eñ  kheltā  hai  baañs  par  ye  naT  paḌā
shāyad  us  ġhuncha-dahan  ko  hañste  dekhā  baaġh  meñ
ab  talak  ġhuncha  balā.eñ  letā  hai  chaT  chaT  paḌā
dekh  kar  us  ke  sarāpā  ko  ye  kahtī  hai  parī
sar  se  le  kar  paañv  tak  yaañ  husn  aa  kar  phaT  paḌā
kyā  tamāshā  hai  ki  vo  chanchal  haTīlā  chulbulā
aur  se  to  hiT  gayā  par  mere  dil  par  haT  paḌā
kyā  huā  go  mar  gayā  farhād  lekin  dosto
be-sutūñ  par  ho  rahā  hai  aaj  tak  khaT  khaT  paḌā
hijr  kī  shab  meñ  jo  khīñchī  aan  kar  naale  ne  teġh
kī  paTe-bāzī  vale  tāsīr  se  haT  haT  paḌā
dil  baḌhā  kar  us  meñ  khīñchā  aah  ne  phir  nīmcha
ai  'nazīr'  āḳhir  vo  us  kā  nīmcha  bhī  paT  paḌā