chāhat  ke  ab  ifshā-kun-e-asrār  to  ham  haiñ
kyuuñ  dil  se  jhagaḌte  ho  gunahgār  to  ham  haiñ
rū  ā.īne  ko  dete  ho  bar-aks  hamāre
ā.īna  rakho  tālib-e-dīdār  to  ham  haiñ
gulshan  meñ  ajab  jaate  ho  kar  husn  kī  taz.īn
is  jins-e-dil-ārā  ke  ḳharīdār  to  ham  haiñ
kyā  kabk  ko  dikhlāte  ho  andāz-e-ḳhirām  aah
hasrat-zada-e-shoḳhi-e-raftār  to  ham  haiñ
kī  chashm  sū-e-nargis-e-bīmār  to  phir  kyā
is  ain  ināyat  ke  sazā-vār  to  ham  haiñ
dil  de  ke  dil-āzār  ko  kyā  shikva-e-bedād
gar  sochiye  apne  liye  āzār  to  ham  haiñ
jis  din  se  phañse  dekhī  na  phir  shakl-e-rihā.ī
kyā  kahiye  'nazīr'  aise  giraftār  to  ham  haiñ