Nazeer Akbarabadi

dur se aae the saqi sun ke mai-KHane ko hum

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

duur se aa.e the saaqī sun ke mai-ḳhāne ko ham

bas taraste chale afsos paimāne ko ham

mai bhī hai miinā bhī hai sāġhar bhī hai saaqī nahīñ

dil meñ aatā hai lagā deñ aag mai-ḳhāne ko ham

kyuuñ nahīñ letā hamārī ḳhabar ai be-ḳhabar

kyā tire āshiq hue the dard-o-ġham khāne ko ham

ham ko phañsnā thā qafas meñ kyā gila sayyād

bas taraste rahe haiñ aab aur daane ko ham

tāq-e-abrū meñ sanam ke kyā ḳhudā.ī rah ga.ī

ab to pūjeñge usī kāfir ke but-ḳhāne ko ham

baaġh meñ lagtā nahīñ sahrā se ghabrātā hai dil

ab kahāñ le ke baiTheñ aise dīvāne ko ham

kyā huī taqsīr ham se batā de ai 'nazīr'

taaki shādī-marg samjheñ aise mar jaane ko ham

Top Urdushayar.com