ham  ashk-e-ġham  haiñ  agar  tham  rahe  rahe  na  rahe
mizha  pe  aan  ke  Tuk  jam  rahe  rahe  na  rahe
raheñ  vo  shaḳhs  jo  bazm-e-jahāñ  kī  raunaq  haiñ
hamārī  kyā  hai  agar  ham  rahe  rahe  na  rahe
mujhe  hai  naza.a  vo  aatā  hai  dekhne  ab  aah
ki  us  ke  aane  talak  dam  rahe  rahe  na  rahe
baqā  hamārī  jo  pūchho  to  juuñ  charāġh-e-mazār
havā  ke  biich  koī  dam  rahe  rahe  na  rahe
milo  jo  ham  se  to  mil  lo  ki  ham  ba-nok-e-giyāh
misāl-e-qatra-e-shabnam  rahe  rahe  na  rahe
yahī  hai  azm  ki  dil  bhar  ke  aaj  ro  liije
ki  kal  ye  dīda-e-pur-nam  rahe  rahe  na  rahe
tumhāre  ġham  meñ  ġharaz  ham  to  de  chuke  haiñ  jī
balā  se  tum  ko  bhī  ab  ġham  rahe  rahe  na  rahe
yahī  samajh  lo  hameñ  tum  ki  ik  musāfir  haiñ
jo  chalte  chalte  kahīñ  tham  rahe  rahe  na  rahe
'nazīr'  aaj  hī  chal  kar  butoñ  se  mil  liije
phir  ishtiyāq  kā  aalam  rahe  rahe  na  rahe