naam  badnām  hai  nāhaq  shab-e-tanhā.ī  kā
vo  bhī  ik  ruḳh  hai  tirī  anjuman-ārā.ī  kā
aa  chalā  hai  mujhe  kuchh  vāda-e-fardā  kā  yaqīñ
dil  pe  ilzām  na  aa  jaa.e  shakebā.ī  kā
ab  na  kāñToñ  hī  se  kuchh  laag  na  phūloñ  se  lagāo
ham  ne  dekhā  hai  tamāshā  tirī  rānā.ī  kā
donoñ  aalam  se  guzar  kar  bhī  zamāna  guzrā
kuchh  Thikānā  bhī  hai  is  bādiya-paimā.ī  kā
ḳhud  hī  betāb  tajallī  hai  azal  se  koī
dekhne  ke  liye  parda  hai  tamannā.ī  kā
lag  ga.ī  bhiiḌ  ye  dīvāna  jidhar  se  guzrā
ek  aalam  ko  hai  saudā  tire  saudā.ī  kā
phir  usī  kāfir  be-mehr  ke  dar  par  'fānī'
le  chalā  shauq  mujhe  nāsiya-farsā.ī  kā