Nazeer Akbarabadi

jo dil ko dije to dil mein KHush ho kare hai kis kis tarah se halchal

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jo dil ko diije to dil meñ ḳhush ho kare hai kis kis tarah se halchal
agar na diije to vūhīñ kyā kyā jatāve ḳhafgī itaab akaḌ-bal
jo is bahāne se haath pakḌeñ ki dekh dil kī dhaḌak hamāre
to haath jhap se chhuḌā le kah kar mujhe nahīñ hai kuchh is kī aTkal
jo chhup ke dekheñ to taaḌ jaave vagar sarīhan to dekho phurtī
ki aate aate nigāh ruḳh tak chhupā le muñh ko ulaT ke āñchal
kare jo va.ada to is tarah kā ki dil ko sunte hī ho tasallī
jo sochiye phir to kaisā va.ada faqat bahāna fareb aur chhal
na jul meñ aave na bhiḌ ke nikle na paas baiThe 'nazīr' ik dam
baḌā hī pur-fan baḌā hī syānā baḌā hī shoḳh aur baḌā hī chanchal
Top Urdushayar.com