yak-ba-yak  hogī  siyāhī  is  qadar  jaatī  rahī
kyā  kaheñ  goyā  siyāhī  yak  sar-e-mū  bhī  na  thī
go  safedī  mū  kī  yuuñ  raushan  hai  juuñ  āb-e-hayāt
lekin  apnī  to  isī  zulmāt  se  thī  zindagī
dam-ba-dam  bazm-e-surūr  o  har  ghaḌī  sair-e-chaman
ishrat-o-aish-o-nashāt  o  ḳhurmī  o  tāzgī
ḳhanda-e-shādī  se  hargiz  lab  na  hote  the  baham
sāġhar  o  miinā  surūd  o  raqs  o  ḳhush-tab.ī  hañsī
jaam  detā  thā  udhar  saaqī  ba-minnat  haath  joḌ
is  taraf  kyā  kyā  lagāvaT  dilbaroñ  kī  thī  na.ī
gul-badan  karte  the  kis  kis  taur  iz.hār-e-ishtiyāq
ġhuncha-lab  milte  the  sau  sau  dil  meñ  rakh  kar  be-kalī
koī  detā  thā  mohabbat  se  gale  meñ  haath  Daal
koī  detā  thā  zabardastī  se  bosa  har  ghaḌī
koī  detā  thā  mohabbat  se  gale  meñ  haath  Daal
koī  detā  thā  zabardastī  se  bosa  har  ghaḌī
jis  taraf  the  dekhte  aish-o-tarab  kā  josh  thā
mastī  o  rindī  havas-bāzī  o  be-añdeshgī
aan  kar  mū  kī  safedī  ne  ye  kiiñ  barbādiyāñ
khol  diiñ  jitnī  bañdhīñ  thiiñ  vo  havā.eñ  aish  kī
qad  meñ  ḳham  āñkhoñ  meñ  nam  chehre  pe  jhurrī  rañg  zard
sar  se  pā  tak  saḳht  nā-ḳhush  manzarī  bad-hai.atī
kyā  tamāshe  inqalāb-e-charḳh  ke  kahiye  'nazīr'
dam  meñ  vo  raunaq  thī  aur  ek  dam  meñ  ye  be-raunaqī