terā  nigāh-e-shauq  koī  rāz-dāñ  na  thā
āñkhoñ  ko  varna  jalva-e-jānāñ  kahāñ  na  thā
ālam-e-juz-e'tibār-e-nihāñ-o-ayāñ  na  thā
yaanī  ki  tū  ayaañ  na  huā  aur  nihāñ  na  thā
ab  tak  tirī  galī  meñ  ye  rusvā.iyāñ  na  thiiñ
ab  tak  to  is  zamīñ  pe  koī  āsmāñ  na  thā
kyā  din  the  jab  ma.āl-e-vafā  kī  ḳhabar  na  thī
vo  din  bhī  the  ki  hāl-e-vafā  dāstāñ  na  thā
talqīn-e-sabr  dil  se  to  koī  dushmanī  na  thī
dekhā  ye  haal  qābil-e-sharh-o-bayāñ  na  thā
mafhūm-e-kā.enāt  tumhāre  sivā  nahīñ
tum  chhup  ga.e  nazar  se  to  saarā  jahāñ  na  thā
har  shāḳh  har  shajar  se  na  thā  bijliyoñ  ko  laag
har  shāḳh  har  shajar  pe  mirā  āshiyāñ  na  thā
āġhosh-e-maut  meñ  tah-e-dāmān-e-yār  huuñ
vo  din  ga.e  ki  mujh  pe  koī  mehrbāñ  na  thā
āzurda  thā  ki  zabt-e-fuġhāñ  meñ  asar  nahīñ
sharminda  huuñ  ki  zabt-e-fuġhāñ  rā.egāñ  na  thā
ho  bhī  chuke  the  dām-e-mohabbat  meñ  ham  asiir
aalam  abhī  ba-qaid-e-zamān-o-makāñ  na  thā
allāh  re  be-niyāzi-e-ādāb-e-iltifāt
dekhā  mujhe  to  paa.e  nazar  darmiyāñ  na  thā
mere  dil-e-ġhuyūr  kā  husn-e-talab  to  dekh
goyā  zabāñ  pe  harf-e-tamannā  girāñ  na  thā
tū  ne  karam  kiyā  to  ba-unvān-e-ranj-e-zīst
ġham  bhī  mujhe  diyā  to  ġham-e-jāvedāñ  na  thā
'fānī'  fusūn-e-maut  kī  tāsīr  dekhnā
Thahrā  vo  dil  ki  jis  pe  sukūñ  kā  gumāñ  na  thā