Nazeer Akbarabadi

saqi sharab hai to ghanimat hai ab ki ab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
saaqī sharāb hai to ġhanīmat hai ab kī ab
phir bazm hogī jab to samajh liijo jab kī jab
sāġhar ke lab se pochhiye us lab kī lazzateñ
kis vāste ki ḳhuub samajhtā hai lab kī lab
kam-fursatī se umr kī apnī hazār haif
jitnī thiiñ ḳhvāhisheñ vo rahīñ dil meñ sab kī sab
sun kar vo kal kī aaj na ho kis tarah ḳhafā
ai nā-shanās-e-tab.a kahī tū ne kab kī kab
phūlā huā badan meñ samātā nahīñ 'nazīr'
vo gul-badan jo paas rahā us ke shab kī shab
Top Urdushayar.com