Nazeer Akbarabadi

hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko humse hijab hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
huī shakl apnī ye ham-nashīñ jo sanam ko ham se hijāb hai
kabhī ashk hai kabhī aah hai kabhī rañj hai kabhī taab hai
zarā dar pe us ke pahuñch ke ham jo bulāveñ us ko to dosto
kabhī ġhussa hai kabhī chheḌ hai kabhī hiila hai kabhī ḳhvāb hai
jo us anjuman meñ haiñ baiThte to mizāj us ke se ham ko vaañ
kabhī ijz hai kabhī biim hai kabhī rasm hai kabhī daab hai
vo udhar se jā ke jo aatā hai use donoñ haal se dil meñ yaañ
kabhī soch hai kabhī fikr hai kabhī ġhaur hai kabhī taab hai
jo vo ba.ad bosa ke naaz se zarā jhiḌke hai to 'nazīr' ko
kabhī misrī hai kabhī qand hai kabhī shahd hai kabhī raab hai
Top Urdushayar.com