huī  shakl  apnī  ye  ham-nashīñ  jo  sanam  ko  ham  se  hijāb  hai
kabhī  ashk  hai  kabhī  aah  hai  kabhī  rañj  hai  kabhī  taab  hai
zarā  dar  pe  us  ke  pahuñch  ke  ham  jo  bulāveñ  us  ko  to  dosto
kabhī  ġhussa  hai  kabhī  chheḌ  hai  kabhī  hiila  hai  kabhī  ḳhvāb  hai
jo  us  anjuman  meñ  haiñ  baiThte  to  mizāj  us  ke  se  ham  ko  vaañ
kabhī  ijz  hai  kabhī  biim  hai  kabhī  rasm  hai  kabhī  daab  hai
vo  udhar  se  jā  ke  jo  aatā  hai  use  donoñ  haal  se  dil  meñ  yaañ
kabhī  soch  hai  kabhī  fikr  hai  kabhī  ġhaur  hai  kabhī  taab  hai
jo  vo  ba.ad  bosa  ke  naaz  se  zarā  jhiḌke  hai  to  'nazīr'  ko
kabhī  misrī  hai  kabhī  qand  hai  kabhī  shahd  hai  kabhī  raab  hai