Nazeer Akbarabadi

sahar jo nikla main apne ghar se to dekha ek shoKH husn wala

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

sahar jo niklā maiñ apne ghar se to dekhā ik shoḳh husn vaalā

jhalak vo mukhḌe meñ us sanam ke ki jaise sūraj meñ ho ujālā

vo zulfeñ us siyāh pur-ḳham ki un ke bal aur shikan ko yaaro

na pahuñche sumbul na pahuñche raihāñ na pahuñche nāgin na pahuñche kaalā

adā.eñ bāñkī ajab tarah vo tirchhī chitvan bhī kuchh tamāsha

bhañveñ vo jaise khiñchī kamāneñ palak sināñ-kash nigāh bhālā

vo āñkheñ mast aur gulābī us ki un ko dekhe to dekhte

mai-e-mohabbat us dil ko ho kyā gahrā nasha do-bālā

laboñ pe surḳhī vo paan kuchh ki la.al bhī munfa.il ho jis se

vo aan hañsne bhī phir aisī ki jis aalam hai kuchh nirālā

vo jāma-zebī vo dil-farebī vo saj-dhaj us vo qadd-e-zebā

ki dekh jis par fidā hoñ dil se vo jin ko kahte haiñ sarv-e-bālā

nigah laḌā.ī hai us ne jis dam jhaTak liyā jhap to dil ko mere

adā adā ne idhar dabochā palak palak ne udhar uchhālā

jo le liyā dil ko mere yaaro to us ne raah apne ghar

paḌā taḌaptā maiñ rah gayā vaañ zabāñ pe aah aur laboñ pe naala

bahut ye maiñ ne to chāhā pūchhūñ maiñ naam us vale vo gul-rū

na mujh se bolā na ishārat na tasallī na kuchh sambhālā

parī-ruḳh-e-man shakar-lab-e-man va mai baaz aa ba-pesh-e-chashmam

ba-yād-e-sarv-e-tū be-qarāram nihāl-e-ishqat shud-ast baalā

fidā-e-vajhak ashī-e-sharqan va mau-e-nahran va man firāqak

kasīr-e-huznā ma.al-humūme saqīl-e-hijrā va kal-jibālā

tusā de milne nuuñ dil hai be-kal ehī o gallāñ nit ākhadā hai

sadā le mainūñ de apne ghar vich nahīñ to itthe asā de naal aa

tumhārī aasā lagī hai nis din tumhāre darshan ko tarseñ naināñ

dulāre sundar anūThe abran haTīle mohan anokhe laalā

chahan ke man ko jo chhannanūñ thī ai yaar kaa.eñ lagā.ī itnī

bharā.etīñ aa kar khabar lo mhaañ palak kaTārā jo thaañ ne ghālā

agan barat hai hiyā meñ more birah meñ tere ai man-muhanvāñ

tore jo naināñ ne mohā mohko na jīnūñ tinko bhavā vakhālā

jagat sabahhā amat barahmukh aTak kahasvā maman karan khā

divānī kenī tuman surījan na sudh gar par na budh jhālā

kabhī to hañs kar shitāb aa 'nazīr' bhī taraf Tuk ai jaañ

banā ke saj-dhaj phirā ke dāman lagā ke Thokar hilā ke baalā

Top Urdushayar.com