Nazeer Akbarabadi

dil na lo dil ka ye lena hai na iKHfa hoga

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dil na lo dil kā ye lenā hai na iḳhfā hogā
is ko dil kahte haiñ bas lete hī charchā hogā
tum ko har aan udhar hovegī husn-ārā.ī
ham ko har lahza idhar zauq-e-tamāshā hogā
ham bhī sau chaah se dekheñge tumhārī jānib
tum se bhī zabt-e-tabassum na phir aslā hogā
juuñ hī ham dekheñge tum aur tabassum hoge
chaah kā ġhuncha-e-sar-basta vahīñ vā hogā
guftugū hovegī bāham jo ishārāt ke saath
matn is kā bhī harīfoñ meñ muhashshā hogā
paañv tak haath jo lāveñge kisī uzr se ham
tāḌne vāloñ meñ shor is kā bhī barpā hogā
jab ye taqrīr sunī us shah-e-ḳhūbāñ ne 'nazīr'
ham se dil le liyā aur hañs ke kahā kyā hogā
Top Urdushayar.com