duniyā-e-husn-o-ishq  meñ  kis  kā  zuhūr  thā
har  aañkh  barq-pāsh  thī  har  zarra  tuur  thā
merī  nazar  kī  aaḌ  meñ  un  kā  zuhūr  thā
allāh  un  ke  nuur  kā  parda  bhī  nuur  thā
thī  har  taḌap  sukūn  kī  duniyā  liye  hue
pahlū  meñ  aap  the  ki  dil-e-nā-subūr  thā
ham  kushtagān-e-ġham  pe  ye  ilzām-e-zindagī
be-mehr  kuchh  to  pās-e-haqīqat  zarūr  thā
bālīñ  pe  tum  jab  aa.e  to  aa.ī  vo  maut  bhī
jis  maut  ke  liye  mujhe  jiinā  zarūr  thā
thī  un  ke  rū-ba-rū  bhī  vahī  shān-e-iztirāb
dil  ko  bhī  apnī  vaz.a  pe  kitnā  ġhurūr  thā
lutf-e-hayāt  be-ḳhalish-e-mudda.ā  kahāñ
yaanī  ba-qadr-e-talḳhi-e-sahbā  surūr  thā
uTh  kar  chale  to  hashr  bhī  uThnā  thā  kyā  zarūr
un  kī  galī  se  madfan-e-'fānī'  to  duur  thā