aish  kar  ḳhūbāñ  meñ  ai  dil  shādmānī  phir  kahāñ
shādmānī  gar  huī  to  zindagānī  phir  kahāñ
jis  qadar  piinā  ho  pī  le  paanī  un  ke  haath  se
āb-e-jannat  to  bahut  hogā  ye  paanī  phir  kahāñ
lazzateñ  jannat  ke  meve  kī  bahut  hoñgī  vahāñ
phir  ye  mīThī  gāliyāñ  ḳhūbāñ  kī  khānī  phir  kahāñ
vaañ  to  haañ  hūroñ  ke  gahne  ke  bahut  hoñge  nishāñ
in  parī-zādoñ  ke  chhalloñ  kī  nishānī  phir  kahāñ
ulfat-o-mahr-o-mohabbat  sab  haiñ  jīte-jī  ke  saath
mehrbāñ  hī  uTh  ga.e  ye  mehrbānī  phir  kahāñ
vaa.iz  o  nāseh  bakeñ  to  un  ke  kahne  ko  na  maan
dam  ġhanīmat  hai  miyāñ  ye  naujavānī  phir  kahāñ
jā  paḌe  chup  ho  ke  jab  shahr-e-ḳhamoshāñ  meñ  'nazīr'
ye  ġhazal  ye  reḳhta  ye  sher-ḳhvānī  phir  kahāñ