Nazeer Akbarabadi

dil har ghaDi kahta hai yun jis taur se ab ho sake

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

dil har ghaḌī kahtā hai yuuñ jis taur se ab ho sake

uTh aur sambhal ghar se nikal aur paas us chanchal ke chal

dekhī jo us mahbūb ham ne jhalak hai kal kal

paa.ī har ik ta.avīz meñ apne dil-e-bekal kal

jab naaz se hañs kar kahā us ne are chal kyā hai

kyā kyā pasand aa.ī haiñ us nāznīñ chanchal chal

hai vo kaf-e-pā narm-tar us ki vaqt-e-ham-sarī

Daale kaf-e-pā-e-sanam narmī vahīñ maḳhmal mal

ham haiñ tumhāre mubtalā muddat se hai ye aarzū

baiTho hamāre paas bhī ai jaañ kabhī ik pal pal

hai dam ġhanīmat ai 'nazīr' ab mai-kade meñ baiTh kar

aaj to mai miyāñ phir dekh liijo kal kal

Top Urdushayar.com