Nazeer Akbarabadi

ye hasb-e-aql to koi nahin saman milne ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ye hasb-e-aql to koī nahīñ sāmān milne kā
magar duniyā se le jāveñge ham armān milne kā
ajab mushkil hai kyā kahiye baġhair-az-jān dene ke
koī naqsha nazar aatā nahīñ āsān milne kā
hameñ to ḳhaak meñ jā kar bhī kyā kyā be-kalī hogī
jab aa jāvegā us ġhuncha-dahan se dhyān milne kā
kisī se milne aa.e the so yaañ bhī ho chale ik dam
kahe detā huuñ ye mujh par nahīñ ehsān milne kā
'nazīr' ik umr ham us dil-rubā ke vasl kī ḳhātir
bahut ro.e bahut chīḳhe pa kyā imkān milne kā
hamārī be-qarārī iztirābī kuchh na kaam aa.ī
vo ḳhud hī aa milā jab vaqt aayā aan milne kā
Top Urdushayar.com