Nazeer Akbarabadi

ye hasb-e-aql to koi nahin saman milne ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

ye hasb-e-aql to koī nahīñ sāmān milne

magar duniyā se le jāveñge ham armān milne

ajab mushkil hai kyā kahiye baġhair-az-jān dene ke

koī naqsha nazar aatā nahīñ āsān milne

hameñ to ḳhaak meñ kar bhī kyā kyā be-kalī hogī

jab aa jāvegā us ġhuncha-dahan se dhyān milne

kisī se milne aa.e the so yaañ bhī ho chale ik dam

kahe detā huuñ ye mujh par nahīñ ehsān milne

'nazīr' ik umr ham us dil-rubā ke vasl ḳhātir

bahut ro.e bahut chīḳhe pa kyā imkān milne

hamārī be-qarārī iztirābī kuchh na kaam aa.ī

vo ḳhud aa milā jab vaqt aayā aan milne

Top Urdushayar.com