khīñch  kar  is  māh-rū  ko  aaj  yaañ  laa.ī  hai  raat
ye  ḳhudā  ne  muddatoñ  meñ  ham  ko  dikhlā.ī  hai  raat
chāñdnī  hai  raat  hai  ḳhalvat  hai  sehn-e-bāġh  hai
jaam  bhar  saaqī  ki  ye  qismat  se  haath  aa.ī  hai  raat
be-hijāb  aur  be-takalluf  ho  ke  milne  ke  liye
vo  to  Thahrāte  the  din  par  ham  ne  Thahrā.ī  hai  raat
jab  maiñ  kahtā  huuñ  kisī  shab  ko  to  kāfir  yaañ  bhī  aa
hañs  ke  kahtā  hai  miyāñ  haañ  vo  bhī  banvā.ī  hai  raat
kyā  maza  ho  haath  meñ  zulfeñ  hoñ  aur  yuuñ  pūchhiye
ai  mirī  jaañ  sach  kaho  to  kitnī  ab  aa.ī  hai  raat
jab  nashe  kī  lahr  meñ  baal  us  parī  ke  khul  ga.e
sub.h  tak  phir  to  chaman  meñ  kyā  hī  lahrā.ī  hai  raat
daur  meñ  husn-e-bayāñ  ke  ham  ne  dekhā  bār-hā
ruḳh  se  ghabrāyā  hai  din  zulfoñ  se  ghabrā.ī  hai  raat
hai  shab-e-vasl  aaj  to  dil  bhar  ke  sovegā  'nazīr'
us  ne  ye  kitne  dinoñ  meñ  aish  kī  paa.ī  hai  raat