Nazeer Akbarabadi

mil kar sanam se apne hangam-e-dil-kushai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

mil kar sanam se apne hañgām-e-dil-kushā.ī

hañs kar kahā ye ham ne ai jaañ basant aa.ī

sunte us parī ne gul gul shagufta ho kar

poshāk-e-zar-fishānī apnī vahīñ rañgā.ī

jab rañg ke aa.ī us ke poshāk-e-pur-nazākat

sarsoñ shāḳh par kal phir jald ik mañgā.ī

ik pañkhuḌī uThā kar nāzuk se uñgliyoñ meñ

rañgat ko us apnī poshāk se milā.ī

jis dam kyā muqābil kisvat se apnī us ko

dekhā to is rañgat us par huī sivā.ī

phir to ba-sad-masarrat aur sau nazākatoñ se

nāzuk badan pe apne poshāk vo khapā.ī

Top Urdushayar.com