Nazeer Akbarabadi

agar hai manzur ye ki howe hamare sine ka dagh ThanDa

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
agar hai manzūr ye ki hove hamāre siine kā daaġh ThanDā
to aa lipaTiye gale se ai jaañ jhamak se kar jhap charāġh ThanDā
ham aur tum jaañ ab is qadar to mohabbatoñ meñ haiñ ek tan man
lagāyā tum ne jabīñ pe sandal huā hamārā dimāġh ThanDā
laboñ se lagte hī ho ga.ī thī tamām sardī dil-o-jigar meñ
diyā thā saaqī ne raat ham ko kuchh aise mai kā ayāġh ThanDā
daraḳht bhīge haiñ kal ke meñh se chaman chaman meñ bharā hai paanī
jo sair kiije to aaj sāhab ajab tarah kā hai baaġh ThanDā
vahī hai kāmil 'nazīr' is jā vahī hai raushan-dil ai azīzo
havā se duniyā kī jis ke dil kā na hove hargiz charāġh ThanDā
Top Urdushayar.com