agar  hai  manzūr  ye  ki  hove  hamāre  siine  kā  daaġh  ThanDā
to  aa  lipaTiye  gale  se  ai  jaañ  jhamak  se  kar  jhap  charāġh  ThanDā
ham  aur  tum  jaañ  ab  is  qadar  to  mohabbatoñ  meñ  haiñ  ek  tan  man
lagāyā  tum  ne  jabīñ  pe  sandal  huā  hamārā  dimāġh  ThanDā
laboñ  se  lagte  hī  ho  ga.ī  thī  tamām  sardī  dil-o-jigar  meñ
diyā  thā  saaqī  ne  raat  ham  ko  kuchh  aise  mai  kā  ayāġh  ThanDā
daraḳht  bhīge  haiñ  kal  ke  meñh  se  chaman  chaman  meñ  bharā  hai  paanī
jo  sair  kiije  to  aaj  sāhab  ajab  tarah  kā  hai  baaġh  ThanDā
vahī  hai  kāmil  'nazīr'  is  jā  vahī  hai  raushan-dil  ai  azīzo
havā  se  duniyā  kī  jis  ke  dil  kā  na  hove  hargiz  charāġh  ThanDā