mujh  ko  mire  nasīb  ne  roz-e-azal  se  kyā  diyā
daulat-e-do-jahāñ  na  dī  ik  dil-e-mubtalā  diyā
dil  hī  nigāh-e-nāz  kā  ek  adā-shanās  thā
jalva-e-barq-e-tūr  ne  tuur  ko  kyuuñ  jalā  diyā
qabr  meñ  jab  kisī  tarah  dil  kī  taḌap  na  kam  huī
yād-e-ḳhirām-e-nāz  ne  hashr  kā  aasrā  diyā
roz-e-jazā  gila  to  kyā  shukr-e-sitam  hī  ban  paḌā
haa.e  ki  dil  ke  dard  ne  dard  ko  dil  banā  diyā
ab  mirī  laash  par  huzūr  maut  ko  koste  to  haiñ
aap  ko  ye  bhī  hosh  hai  kis  ne  kise  miTā  diyā
dil  meñ  samā  ke  phir  ga.ī  aas  bañdhā  ke  phir  ga.ī
aaj  nigāh-e-dost  ne  kaaba  banā  ke  Dhā  diyā
uf  ki  gunāhgār  ham  haiñ  to  magar  ḳhatā  muaaf
aaTh  pahar  ke  dard  ne  dil  hī  to  hai  dukhā  diyā
aap  ham  apnī  aag  meñ  ai  ġham-e-ishq  jal  bujhe
aag  lage  is  aag  ko  phūñk  diyā  jalā  diyā
yuuñ  na  kisī  tarah  kaTī  jab  mirī  zindagī  kī  raat
chheḌ  ke  dāstān-e-ġham  dil  ne  mujhe  sulā  diyā
girya-e-ātshīñ  kī  daad  de  shab-e-ġham  to  kaun  de
ḳhud  sar-e-shām  kyā  bujhī  sham.a  ne  dil  bujhā  diyā
yaas  ne  dard  hī  nahīñ  haq  to  ye  hai  davā  bhī  dī
'fānī'-e-nā-umīd  ko  maut  kā  aasrā  diyā