Nazeer Akbarabadi

gulzar hai daghon se yahan tan-badan apna

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

gulzār hai dāġhoñ se yahāñ tan-badan apnā

kuchh ḳhauf ḳhizāñ nahīñ rakhtā chaman apnā

ashkoñ ke tasalsul ne chhupāyā tan-e-uryāñ

ye āb-e-ravāñ hai nayā pairahan apnā

kis tarah bane aise se insāf to hai shart

ye vaz.a mirī dekho vo dekho chalan apnā

inkār nahīñ aap ke ghar chalne se mujh ko

maiñ chalne ko maujūd jo chhoḌo chalan apnā

maskan pata ḳhāna-ba-doshoñ se na pūchho

jis pe ki bas gir rahe vo hai vatan apnā

Top Urdushayar.com