Nazeer Akbarabadi

hum dekhen kis din husn ai dil us rashk-e-pari ka dekhenge

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

ham dekheñ kis din husn ai dil us rashk-e-parī dekheñge

vo qad vo kamar vo chashm vo lab vo zulf vo mukhḌā dekheñge

mat dekh butoñ abrū ko haT yaañ se ai dil varna tujhe

ek aan meñ bismil kar deñge aur aap tamāshā dekheñge

dil de kar ham ne aaj use dekhī sūrat tevrī

ye shakl rahī to ai hamdam kal dekheñ kyā kyā dekheñge

jab dekhī us chīn-e-jabīñ yuuñ ham ne 'nazīr' us but se kahā

ḳhair aap to ham se nā-ḳhush haiñ ab aur ko ham dekheñge

kyā lutf rahā is chāhat meñ jo ham chāheñ aur tum ho ḳhafā

ye baat sunī to vo chanchal yuuñ hañs kar bolā dekheñge

Top Urdushayar.com