ma.āl-e-soz-e-ġham-hā-e-nihānī  dekhte  jaao
bhaḌak  uTThī  hai  sham-e-zindagānī  dekhte  jaao
chale  bhī  aao  vo  hai  qabr-e-'fānī'  dekhte  jaao
tum  apne  marne  vaale  kī  nishānī  dekhte  jaao
abhī  kyā  hai  kisī  din  ḳhuuñ  rulā  degī  ye  ḳhāmoshī
zabān-e-hāl  kī  jādū-bayānī  dekhte  jaao
ġhurūr-e-husn  kā  sadqa  koī  jaatā  hai  duniyā  se
kisī  kī  ḳhaak  meñ  miltī  javānī  dekhte  jaao
udhar  muñh  pher  kar  kyā  zab.h  karte  ho  idhar  dekho
mirī  gardan  pe  ḳhanjar  kī  ravānī  dekhte  jaao
bahār-e-zindagī  kā  lutf  dekhā  aur  dekhoge
kisī  kā  aish-e-marg-e-nā-gahānī  dekhte  jaao
sune  jaate  na  the  tum  se  mire  din-rāt  ke  shikve
kafan  sarkāo  merī  be-zabānī  dekhte  jaao
vo  uTThā  shor-e-mātam  āḳhirī  dīdār-e-mayyat  par
ab  uTThā  chāhtī  hai  na.ash-e-'fānī'  dekhte  jaao