Nazeer Akbarabadi

jab uski zulf ke halqe mein hum asir hue

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jab us kī zulf ke halqe meñ ham asiir hue
shikan ke aadī hue ḳham ke ḳhū-pazīr hue
ḳhadañg-vār jo ġhamze the us ke chhuTpan meñ
par ab nazar meñ jo aa.e to rashk-e-tīr hue
jhiḌak diyā hameñ kūche meñ us ne har-dam dekh
ham apne dil meñ kuchh us dam ḳhajil kasīr hue
jo gaah gaah adhar jaate ham to rahtī qadr
ghaḌī ghaḌī jo ga.e is sabab haqīr hue
nigah ke laḌte hī hañs kar kahā 'nazīr' us ne
ye bāteñ chhoḌ do kuchh samjho ab to piir hue
Top Urdushayar.com