Nazeer Akbarabadi

jab uski zulf ke halqe mein hum asir hue

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

jab us zulf ke halqe meñ ham asiir hue

shikan ke aadī hue ḳham ke ḳhū-pazīr hue

ḳhadañg-vār jo ġhamze the us ke chhuTpan meñ

par ab nazar meñ jo aa.e to rashk-e-tīr hue

jhiḌak diyā hameñ kūche meñ us ne har-dam dekh

ham apne dil meñ kuchh us dam ḳhajil kasīr hue

jo gaah gaah adhar jaate ham to rahtī qadr

ghaḌī ghaḌī jo ga.e is sabab haqīr hue

nigah ke laḌte hañs kar kahā 'nazīr' us ne

ye bāteñ chhoḌ do kuchh samjho ab to piir hue

Top Urdushayar.com