Nazeer Akbarabadi

ishq phir rang wo laya hai ki ji jaane hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ishq phir rañg vo laayā hai ki jī jaane hai
dil kā ye rañg banāyā hai ki jī jaane hai
naaz uThāne meñ jafā.eñ to uThā.īñ lekin
lutf bhī aisā uThāyā hai ki jī jaane hai
zaḳhm us teġh-e-nigah kā mire dil ne hañs kar
is maze-dārī se khāyā hai ki jī jaane hai
us kī duzdīda nigah ne mire dil meñ chhup kar
tiir is Dhab se lagāyā hai ki jī jaane hai
baam par chaḌh ke tamāshe ko hameñ husn apnā
is tamāshe se dikhāyā hai ki jī jaane hai
us kī furqat meñ hameñ charḳh-e-sitamgār ne aah
ye rulāyā, ye rulāyā hai ki jī jaane hai
hukm chuppī kā huā shab to sahar tak ham ne
ratjagā aisā manāyā hai ki jī jaane hai
talve sahlāne meñ go uuñgh ke jhuk jhuk to paḌe
par mazā bhī vo uḌāyā hai ki jī jaane hai
rañj milne ke bahut dil ne sahe lek 'nazīr'
yaar bhī aisā milāyā hai ki jī jaane hai
Top Urdushayar.com