Nazeer Akbarabadi

jal mein zar ke agar moti ka dana hoga

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

jaal meñ zar ke agar motī daanā hogā

vo na is daam meñ āvegā jo daanā hogā

dām-e-zulf aur jahāñ ḳhaal daanā hogā

phañs jāvegā ġharaz kaisā daanā hogā

dil ko ham laa.e the mizhgāñ safeñ dikhlāne

ye na samjhe the ki tīroñ nishānā hogā

aaj dekh is ne mirī chaah chitvan yaaro

muñh se go kuchh na kahā dil meñ to jaanā hogā

bhar nazar dekheñge us ahd-shikan sūrat

dekhiye kaun yā-rab vo zamānā hogā

ḳhuuñ bahāne mire hashr meñ jab hogā bahā

dekheñ kyā us ghaḌī qātil ko bahānā hogā

vo bhī kuchh aisī kah degā ki jis se us ko

baat baat bahāne bahānā hogā

talḳhī-e-marg jise kahte haiñ afsos afsos

ek din sab ke ta.iiñ zahr ye khānā hogā

dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazīr'

phir tirā kaahe ko is baaġh meñ aanā hogā

Top Urdushayar.com