ruḳh  parī  chashm  parī  zulf  parī  aan  parī
kyuuñ  na  ab  nām-e-ḳhudā  ho  tire  qurbān  parī
jhamke  jhamke  vo  surayyā  ke  kiran  phuul  vo  phuul
bunde  baale  parī  motī  parī  aur  kaan  parī
rashk-e-ḳhurshīd  jabīñ  abr-e-siyah  sī  paTTī
lahr  choTī  kī  ġhazab  zulf-e-pareshān  parī
husn  gulzār  qamar  shakl  surāhī  gardan
mah-jabīñ  seb-e-zaqan  chāh-e-zanaḳhdān  parī
maar  ġhamza  kī  balā  tīr-e-nigah  dast-e-sināñ
teġh-e-abrū  kī  sitam  tarkash-e-mizhgān  parī
muskurāne  kī  adā  jaise  chamak  bijlī  kī
aan  hañsne  kī  qayāmat  lab-o-dandān  parī
aañkh  mastī  kī  bharī  shoḳh  nigāheñ  chanchal
qahr  kājal  kī  khachāvaT  misī  o  paan  parī
benī  aur  nath  kā  vo  aalam  ki  chhide  dil  jis  se
huur  chunnī  kī  jhalak  gauhar-e-ġhaltān  parī
dhukdhukī  chāñd  sī  jugnū  bhī  sitāroñ  kī  misāl
itr-dāñ  turfa  vo  toḌe  bhī  daraḳhshān  parī
chaak  siine  kā  ġhazab  saaf  badan  motī  sā
ek  tasvīr  sī  kurtī  kā  garebān  parī
pusht  gul-barg  shikam  siim  kamar  tār-e-nigāh
sān-e-billor  gulāvaT  meñ  har  ik  raan  parī
gherā  pashvāz  kā  vo  jis  ke  kanārī  qurbāñ
chaal  aafat  kī  nishāñ  jumbish-e-dāmān  parī
kyā  kahūñ  us  ke  sarāpā  kī  maiñ  tārīf  'nazīr'
qad  parī  dhaj  parī  aalam  parī  aur  shaan  parī